Saturday, April 6, 2013

Khudgarz...


Jane kab kyun kaise ye hua hai,
Pal me hi sab kuch jaise badal gaya hai..
Dikhta tha aaine me aksh jo kal tak,
Saksh wo aaj kho gaya hai..
Kal tak thi jisko parwah har dil ki,
Aaj wo khud ke liye jee raha hai..
Na dikhte mujhko ab aansoo kisi ke,
Na dard hi kisi ka ab mera hua hai..
Jane kab kyun kaise.. Dil itna Bebaak hua hai...

Thi ye kahani jaise kal ki,
Jab mene sabki kahani suni thi..
Manga jab jab saath jisne bhi mera, Saath uske har waqt main khara tha..
Jane kyun dil ye nadan.. itna na samjha.. Karne ko sapne pure unke.. Main to bas ek Mohra tha..
Chaha jo saath mene kisi ka.. Na khwabon ki khushi me.. Na toote sapno ke gum me.. Saath koi mere chala tha..
Jashan khud hi mene apni barbadiyo ka manaya..
Goom na jane kanha wo log hue.. Jinke sapno ko tha sach mene banaya..
Is bebaak dil ki to hai bas itni si kahani..
Ke apni barbadiyo ki daastan isne khud hi likh dali..
Paak dil sab yanha samajh kar,
Jane kyun chal diya main aankhein moond kar..
Dil jo mera ye abke sambhla hai,
Khudgarz bhi.. Khudar bhi.. Bebaak ye hua hai...

Dekh ke hansi wo jhooti kisi ki, saksh na ye ab hansta hai..
Dekh ke aansoo bhi jhoote kisi ke, dil na ye ab rota hai..
Firte hai log liye namak muthi me, kon yanha kisi ke zakham bharta hai..
Dekhta hun main yanha khwabon ko roj hi toote hue,
Fir un toote khwabo ki asthiyo pe kisi ko bikharte hue..
Dekhta hun main yanha zamane ki daur me roj hi logo ko girte hue,
Fir us haar ke andhere me ghut ghut ke marte hue..
Kyun saksh ye dekh ke bhi sab kuch, yun muh fer leta hai..
Kya dil hai itna khudgarz iska, jo use yun rok deta hai..
Hun hairan main is baat se..
Kaise hua itna bebaak main...

Kyun hua is kadar beparwah bebaak main,
Dil shayad yahi samajhne ki koshish kar raha hai..
Hata ke wo hansi ke mukhote jhoote.. nakabo ke bich aaine me aaj.. khud ko dhoond raha hai..
Kuch ajab si khudgarzi hai is shahar ki aabo hawa me hi shayad,
Jo har saksh is kadar so raha hai,
Hokar door wo apno se.. apne liye jee raha hai..
Hua asar in hawao ka kuch mujh par bhi aise shayad,
Jo dil mera ab is tarah beparwah bebaak ho raha hai..
Kehta hai aaina ye mujhse.. hai rasta wo ab bhi wanhi..
Chal ke jispe mil jaun main raho me.. khud se hi kanhi..
Par chalne ko un raho pe fir se dil darta hai,
Aaine se aaj ye saksh bas itna hi kehta hai..
Dar lagta hai ab to sambhalne me kanhi fir se bikhar na jaun main..
Khudgarz hi sahi.. khush hun apne janha me.. bankar is kadar Bebaak main.....